Metamask kaise use kare?
Agar aap Ethereum ecosystem me interested hai to aapko Metamask jaisi application ki jarurat hai.
Ek simple wallet ke comparison me, yeh aapko Ethereum integrate karne waali websites ke saath communicate karne me help karta hai.
Metamask aapko decentralized applications ke saath apne browser me connect karne dega.Aap intermediaries ke bina trade kar sakte hai aur puri tarah se transparent code ke saath games khel sakte hai(taaki app jante hai ki aapke saath dhokha nhi kiya jaa rha hai)
Shuru karne ke liye niche di gayi guide dekhe
Contents
- Introduction
- MetaMask kya hai ?
- MetaMask kaise Install kare ?
- Wallet kaise start kare ?
- Back up your seed words
- Fund the wallet
- Decentralized web kaise unlock kare ?
- MetaMask par privacy
- Swapping ether for DAI
- Mere tokens kidhar hai ?
- Mujhe aur kya pata hona chahiye?
- The MetaMask app
- Closing thoughts
Introduction
Ethereum ke saath distributed Internet ka wada hai.Jiska intzaar bahut time se ho raha tha-Web 3.0.Ek level playing field ko different reasons se characterized kiya jaa sakta hai :- Failure ke central points ki kami, ownership of data, aur decentralized apps(or DApps).
Iss type ke infrastructure me Decentralized finance par industry wide focus ke saath milkar kaam kiya jaa raha hai aur interoperability protocol ke saath,jiska aim different blockchains ko jodna hai.Ab bharose ke saath token or cryptocurrencies exchange possible hai,Crypto backed loan le kar aap usse ethereium par use kar sakte hai.
Kai Ethereium motivated insaano ke liye Metamask ek go-to wallet hota hai.Aapke regular smartphone ya desktop software ke opposite,ye ek browser extension ki tarah rakha gaya hai,jo users ko directly supporting web pages ke saath interact karta hai.
Iss article me, hum btayenge ki Metamask kis tarah kaam karta hai,aur aap khud iske saath shuruat karte hue chalenge.
MetaMask kya hai?
MetaMask ek open-source Ethereum wallet hai jo sabhi type k Ethereum based tokens ko support karta hai(jaise ki ERC-20 standard,or non fungible tokens).Iske uper aap unhe dusro se bhi receive kar sakte hai ya Coinbase sikke aur ShapeShift integration se unhe buy/sell kar sakte hai.
MetaMask ko itna interesting ye banata hai ki yeh websites ke saath interface kar sakta hai.Kisi or wallet ke sath aapko copy paste kiye hue address par copy paste karna hoga ya phir kisi or device par ek QR code scan karna hoga.MetaMask extension ke saath.website aapke wallet ko sirf ping karti hai.or aapko iss transaction ko accept/reject karne ke liye kaha jaata hai.
MetaMask regular crypto wallet ki tarah kaam karta hai.Lekin iski asli strength bina kisi smart contracts or decentralized applications ke saath hai.Chalo ab isse kaise set up kare dekhe.
MetaMask kaise install kare?
Google Chrome,Firefox,or The Brave Browser me MetaMask wallet install kiya jaa sakta hai.Ye IOS or Android par bhi available hai.But hum isse bahut depth tak cover nahi karenge.Hum iss tutorial me FireFox ka use karne jaa rahe hai.Lekin aapke dwara use kiya jaane waale platform ke bina,aapke steps bilkul ek jaaise honge.
MetaMask.io par official download page ke liye apna browser select kare.Jo aapko Chrome web store ya firefox adds on site par le jaaega.Apne platform se vistaar se judne ke liye button par click kare.Aapko usse uper jaane or chaalene se pehle kuch permissions ki jarurat hogi.Confirm kare ki aap apne browsers ki permissions se satisfy hai.
Wallet kaise start kare?
Jab aap ek baar welcome page par pahuch jaae ,tab Get Started par click kare.Iss page par aapko ya to existing account use karne ke liye btayenge ya phir new account create karne ke liye kaha jaaega.Wallet create karne ke liye click kare.Agla page puchta hai ki kya aap chahte hai ki devs app ko improve karne me help ke liye anonymized data use kare.Aap jo bhi option use kare usse choose kare.
Aab hume ek password banane ki jarurat hai.Or agar aap un legendary creatures me se ek hai jo user agreement ko padhte hai to aap Terms of Use par click karke isse dekh sakte hai.Otherwise ek strong password set karo,box par click karo or Create par click karo.
Back up you seed word's
Following points apne khud ke subheading warrant karne ke liye enough hai.MetaMask ek non- cutodial service hai,jiska meaning ye hai ki koi bhi aapke funds ko nahi le sakta- yaha tak ki MetaMask developers bhi nahi.Aapke token aapke browser ke andar ek type ki encrypted vault me hai,aapke password se protected hai.Iska matlab hai ki agar aapka computer kho gaya hai ya chori ho gaya hai ya kharab ho gaya hai to koi bhi aapka wallet recover karne me aapki help nahi kar sakta.Aapki private keys cyberspace me hmesha ke liye chali jaaengi.Isliye ye important hai ki aap apne backup phrase ko likh le.Aapke account ko recover karne ka yahi ek tarika hai.Jaisa ki suggestion diya gaya hai, hum recommend karte hai ki aap words ko likh le or unhe 2 ya 3 different places par rakh le.
Jab aap next page par pahuch jaate hai tab program ko lagta hai ki aap previous step ke sath lazy ho chuke honge isliye ye aapko phrase confirm karne ke liye bolega.Agar aapne aisa pehli baar nahi kiya to previous step me jaakar isse likh le .
Phrase ko confirm kare, or phir agle step par jae.Sabhi ko select kare.or aap wallet intereface dekhenge.
Fund the wallet
Iss tutorial me hum Ropsten testnet ka use krenge.Ye ek network hai jo laghbag bilkul real Ethereum network ki tarah work karta hai.Lekin iski units ki koi value nahi hai.Ye tab kaam aate hai jab aap contracts develop kar rahe ho aur sure ho ki unme vulnerabilities na ho,jisse attackers ka price drain $50M se niche nahi aa sakta.Aaj hum iss network par jo bhi steps perform krenge uske real thing par replicable banenge.
Ropsten testnet me tune karne ke liye top right corner me main Ethereum network par click kare aur Ropsten test network ko select kare.
Hum ek faucet ka use karke kuch nakli paise ke saath khelne jaa rahe hai .Apne MetaMask browser me kuch paane ke liye iss page par navigate kare.
Aap apne MetaMask account ki information lene ke liye kisi bhi samay chote fox icon par click kar sakte hai.Account 1 par hover kare,or apne Ethereum address ko clipboard me copy karne ke liye click kare.Isse form me paste kare and click Send me test Ethereum transactions generally bahut jaldi confirm ho jaati hai.Toolbar me fox par click karke dekhe ki ye aapko mila yaa nahi.
Ek baar agar wo aa jaye .Hum DApps ke saath interaction shuru
Decentralized web kaise unlock kare?
Kyunki hum ek testnet par hai,humare paas khelne ke liye bahut applications ka selection nahi hai.Mainly decentralized applications ki comprehensive list ke liye.DApps or Dappradar ki states ko check kare.Aap games khel sakte hai,assets kharid sakte hai,ya prediction markets me bets laga sakte hai.
Hum uss DApp ka use karne jaa rahe hai jo humne aapko pehle dikhaya tha.Uniswap ek decentalized exchange hai ya DEX's hai.Jiska matlab hai ki ye hume intermediaries par bharosa kiye bina trade karne me help karta hai.Uniswap kya hai aur ye kaise kaam karta hai .Agar aap isme interested hai ki ye kaise kaam karta hai.
Aage badho aur yaha pahucho or isse access karo.Top Right hand corner me,aapko ek wallet se connect karne ke liye ek sign milega.Sabhi MetaMask compatible sites par aap isse kisi n kisi form me dekh paayenge.Ye security reasons ki wajah se automatically connect nhi hota.Click on it aur aapko aapke dwara use kiya jaane waala wallet choose karne ke liye btaya jaayega.Agar aap follow nahi kar rahe hai to wallet MetaMask hoga.
Jab koi site pehle connect hone ka attempt karti hai to ek MetaMask dialog appear hoga jo aapko iss action ko confirm karne ke liye kahega.Aap ek account choose karne me able ho jayenge(humare paas sirf ek hai,abhi ke liye ,isliye isse aise hi rehne de). Verify karne se pehle ye dekh le ki aap konsi permissions grant karne waale hai.Ye site aapke wallet ke control waale wallet address par information request karegi.
Metamask par privacy
Aap kya permission de rahe hai,iske baare me dhyan rakhna important hai.Agar koi website aapke address ko jaanta hai to wo ether or tokens ki transaction ko dekh sakta hai.Iske saath saath we isse apke IP address se correlate kar sakte hai.
Kuch aapne addresses ko alag karke overlap hone se prevent karte hai,jabki kuch ko in risks se koi farak nhi padata(kyunki ,blockchain public hai).Privacy ki level jisse aap achieve karna chhahte hai aap par depend hai.Ek common rule ke hisab se unn sites ko access grant na kare jin par aapko bharosa na ho.
Swapping ether for DAI
Time aagya hai humari pehli swap bnaane ka.Hum ye DAI ke liye karenge.An ERC-20 token stable coin ki form me kam karta hai.Thik waise jaise humare ether.DAI ki koi bhi real world value nahi hai.Ek token select kare par click kare,Uniswap default liste add kare,aur phir DAI par click kare, Alternatively aap WETH bhi choose kar sakte hai.
Ab sirf ETH ki value enter karni hai jo hum swap karna chahte hai.Jaise hum ye karte hai,hum ek estimate lga sakte hai ki hume kitna DAI milega.Hum aage badhne ke liye ready hai.Swap par click kare.
Aapko fir se MetaMask me action lene ke liye prompt kiya gaya hai.Iss case me,aapko iske creation se pehle transaction ko thik karna hoga.Jab aap main net par ye kar rahe ho to , confirm kare ki aap fees se khush hai, kyunki ye important ho sakti hai.
Uske baad hume confirm karne ke liye transaction ka wait karne ki jarurat hai.
Mere token kidhar hai?
To aapka ether chala gaya hai,lekin aapke account me aapke token nahi dikhata hai.Aapko panic hone ki koi jarurat nahi hai - aapko unhe manually add karna hoga.
Jyada popular token ke liye ,aap apne wallet me token add kare aur naam ya ticker ke liye search kar sakte hai.Kum popular waale ke liye(ya Testnet par rehne waale) hume contract address add karna hoga - ek identifier jo MetaMask ko btata hai ki humare balance ko kaha dekhna hai .
- Apne wallet ko open karne ke liye extension par click kare.
- Top bar me three dots par click kare.
- View on Etherscan par click kare.
- Overview ke hissab se,Token dropdown par click kare or DAI ko select kare.
- Profile summary ke under,aapko ek contract address chahiye.Hover kare or address ko copy kare.
- MetaMask par wapis jaaye or Add token par click kare.
- Custom token tab par click kare.
- Aapne jo copy kiya hai usse Token Contract Address form par paste kare.
- Bache hue apne aap fill ho jaaenge,Next par click kare or uske baad add tokens par click kare.
Main overview par wapas pahuche or apna full balance check kare.
Congrats,aapne bharosemand ether ko DAI ke liye swapping karke aapne pehle DApps ke saath interaction ki.Jo kuch bhi aapne sikha hai wo ab real world me kiya jaa sakta hai.Jab aap mainnet application ke saath khelne ke liye ready ho,tab Ropsten se main network par waapas jaane ko yaad rakhe.
Mujhe aur kya pata hona chahiye?
MetaMask me kuch or features bhi hai jo aaj humne cover nahi kiye hai aap hardware wallet (Trezor and Ledger dono ko support karta hai) ko bhi connect kar sakte hai, Ek contact list bana sakte hai,and of course aap jaise ek common wallet se funds transfer karte hai wo sab bhi kar sakte hai.Apni needs ke hisaab se aap extension ko customize kar sakte hai.
Iske saath saath, security ke common principles apply hote hai.MetaMask ek hot wallet hai jiska matlab hai ki ye internet se connect hue device par chalta hai.Ye aapko common wallet ke comparison me jyada risk dikhata hai,jo offline rakha jaata hai,taaki attack vectors ko kum kiya jaa sake.
Lastly,jab aap MetaMask ka use kar rahe hai, to iska matlab ye hai ki aapko ye janna chahiye ki aap kin website's par access kar rahe hai.
The MetaMask App
MetaMask android/iphone app ek sath solution provide karte hai jo web3 apps ke saath interface karta hai.Extension jaisi functionality ko dekhte hue.Ye DApps browser ke saath integrates karta hai,taaki aap ek button ko click karte hi various decentralized applications ko access kar sake.
Application ka workflow ,browser extension ke similar hi hota hai.Aap ether ya token ka seedhe transfer apne wallet se ,yaa yaha tak ki Uniswap ke saath interact kar sakte hai,Jaisa ki humne uppar dekha.
Closing thoughts
MetaMask decentralized web browse karne ka ek powerful tool hai.Agar aapne iss guide ke steps ko follow kiya hai,to aapne wallet ki potential ko dekha hai.Evidently,ye dusro ke paas bhi hai :aaj kal iske 10 laakh se bhi jyada users hai.
Jaise hi Ethereum ke stacks develop hote hai,MetaMask jaisi applications existing technologies aur nascent cryptocurrency infrastructure ko jodne waale bridge ka integral part ban jaati hai.
MetaMask,Ethereum ya kuch or chhezo ke baare me questions puchne ke liye ask academy par pahuche,waha community aapke questions ka answer degi.