DeFi me Invest Krne se pehle ye 7 Baate Jaan Le.
DeFi ke itni jaldi progress karne ki wajah se, future me upcomig projects ke baare me sochna mushkil ho sakta hai.Fundamental analysis hum sabko yeh batata hai ki ek protocol overvalued hai ya undervalued,Jissase investors or traders apni situation ke hisab se sahi decision le sake.
Soch rha hu ki aap DeFi assets ko kaise measure kar sakte hai. Aisa krne ke liye sabse strong system ke baare me jaanne ke liye aage padhe.
Contents
- Introduction
- Total Value Locked (TVL)
- Price-to-sales ratio (P/S ratio)
- Exchanges paar token ki supply
- Exchange me token balance change
- Unique address count
- Non-speculative usage
- Inflation rate
- Closing thoughts
Introduction
Decentralized Finance (DeFi) aise tezi se aage badhte hai ki isse continue krna bahut difficult ho skta hai,iske saath new projects ko time par evaluate karne me mushkil ho sakti hai. Jo baat isse or bhi challenging banati hai wo hai lack of standard approach.DeFi protocols ko measure or compare krne ke bahut se tareeke hai.
Tension lene ki jaaruraat nahi hai.Hum kuch commonly use kiye jaane waale indicators ko cover krenge jo DeFi me information ke kuch good sources ho skte hai .Kyunki internet par iss bare me bahut saara data available hai.To ye kisi trader or investor ke liye in sab indicators ka use krna bahut easy hai.Hum Spencer's Noon thread ki help se iss article me unme se kuch ko collect krne ke liye inspire hue hai.
- Total Value Locked (TVL)
Jaisa ki name se pta chaalta hai, Total Value Locked ek DeFi protocol me lock kiye gye funds ka total amount hai.Aap TVL ke baare me soch skte hai ki ye kisi money market place me liquidity pools me liquidity ki tarah hota hai.For example,in Uniswap's case, TVL ka matlab hai protocol me liquidity providers ke dwara deposit kiya gya amount.TVL ek useful data point ho skta hai jo aapko DeFi me overall interest ke baare me ek idea deta hai. TVL different DeFi protocols ke "market share" ko bhi compare krne me bhi bahut effective hai.Ye especially un investors ke liye useful hai jo DeFi me undervalued projects ko search kar rhe hai.Dhyan dene ki baat ye bhi hai ki kaise different denominations ka use krke TVL ko measure kiya ja saakta hai.For example Ethereum projects me lock TVL usually ETH or USD me measure kiya jaa sakta hai.
- Price-to-sales ratio (P/S ratio)
Ek traditonal bussiness ke case me,price to sales ratio(P/S Ratio) company ke stock ke price revenue se compare karte hai.Iss ratio ka use ye pta lgane me bhi kiya ja skta hai ki ek stock overvalued hai ya phir undervalued.
Bahut saare DeFi protocols pehle se hi revenue generate karte hai.Ek same metric ka bhi unke liye use kiya jaa skta hai.
Aap isse kaise use kar sakte hai?
Aapko protocol ke market capitalization ko iske revenue se divide karna hoga. Basic idea yeh hai ki ratio jitna kum hoga.Protocol utna hi undervalued hoga.
Dhyan rakhe ki valuation calculate karne ka ye bilkul accurate tarika nahi hai.But ye aapko ek general idea dene me helpful ho sakta hai ki market me kisi project ki valuing kitni ho sakti hai.
- Exchanges paar token ki supply
Ek or strategy cryptocurrency exchange par token ki supply par nazar rakhne ki hai.Jab koi seller apne tokens ko sell karna chahta hai to wo commonly Centralized Exchanges(CEX's) par aisa karta hai.Isse bataya gaya hai ki Decentralized Exchanges (DEX's) par users ke liye bahut saare options available hai Jinhe intermediary ki jarurat nahi hai.However centralized venues me jyada aur strong liquidity hoti hai.Isi waajah se CEX's par token ki supply par dhyaan dena important hai.
Yaha token supply ke baare me ek simple assumption hai.Jab bahut saare token exchange karne ke liye ho jaate hai tab unhe bechne ka pressure increase ho jaata hai .Kyunki holder's and whales apne funds apne paas nahi store kar rhe hai,isliye ho sakta hai ki wo unhe sell(bechna) chahte ho.
Jaisa btaya ye utna easy nahi hai.Bahut se traders apni holdings ko collateral ki taarah use karte hai .Jisse unhe future me jyada margin/profit mil sake.
- Exchange me token balance change
Hum pehle se jaante hai ki token supply par nazar rakhna useful ho sakta hai. Par sirf token balances par nazar rakhna kaafi nahi hai. Exchange me large tokens ke balanace me change jyadatar unstability ki or signal karta hai.
For example humne token balance ke baare me jo abhi discussion kiya hai .Aap uske opposite scenario ke baare me sochiye.Agar CEX's se badi badi holdings nikali ja rhi hai to ye indicate karta hai ki whales token collect Kar rahe hai.Agar wo jaldi se unhe bechna chaahte hai, to wo apni pocket me kyu wapis leke jaaenge.Isliye tokens ki supply par nazar rakhna useful ho sakta hai.
- Unique address count
Iski limitations to hoti hai ,lekin kisi particular coin or token ke addresses ka increased amount uski increased usage ki or point karta hai.On the surface aisa lagta hai ki jyada addresses jyada users se related hai and growing adoption.
This is a gameable metric.Isliye kisi ke liye thousands addresses create karna aur unme fund's ko transfer/distribute karna easy ho jaata hai ,or ye signal karta hai ki inn sab ka use increase hua hai .Jaisa ki fundamental analysis me kisi bhi metric ke saath hota hai.Aapko unique address count ko or factors se alag karna hoga
- Non-speculative usage
To aap imagine kar rahe hai ki kuch emoji based token aapko crazy returns denge,lekin kya yeh reality me kuch bhi karta hai? Agar iska solo purpose price appreciate karna hai to isse Charles Ponji ka approval mil sakta hai,lekin ye jyada time tak sustainable nahi hoga.
Samjhna,kya token sahi value pta laagane k liye jaarori hai . Ideally aap speculation ke purpose ke liye nahi kiye gaye transactions ke numbers ko dekh kar isko measure kar le.Ye difficult ho sakta hai ,but achi shuruat Transfer's ko notice karke ki jaa sakti hai jo centralized or decentralized exchanges par nahi ho rhi.Yaha aim ye check karna hai ki insaan tokens ka use kar rahe hai.
- Inflation rate
Wow! Ek small supply ke saath ek token.Ye reality me ek bahut acha sign hai, hai na.
Jaruri nahi hai, Inflation rate par bhi nazar rakhna ek or important metric hai. Ek small supply ab hamesh ek small supply ki guarantee nahi hai , particularly agar new tokens lagatar khanan kar rahe hai.Bitcoin ki ek notable property constantly inflation rate low kar rahi hai. Jisse future me existing units ko theoretically roka jaa ske.
Aisa nahi bola ja sakta ki haar ek system ko Bitcoin ki scarcity ko repeat krne ki aspiration honi chaahiye.Inflation apne aap me kharab nahi h.Paar usme aapka khud ka hissa kum ho jaata h. Koi bhi standardized percentage "good"or "bad" nahi maana jaata.Isliye other metrics paar sochte time number ko dhyan me rakhna acha decision hoga.
Closing thoughts
Agar aap ek experinced cryptocurrency trader hai to aap notice krenge ki in metrics ka mostly use traditional cryptocurrencies ka fundamental analysis me hota hai.Agar aap in sab se unfamiliar hai, to hum aapko advise dete hai ki aap fundamental analysis kya hai? isse check kare.Hamesha ki tarah market unpredictable, irrational,and prone to extreme volatility/ unstable hota hai.
DeFi ya Fundamental analyisis ya kuch or cheezo ke baare me questions puchne ke liye ask academy par pahuche,waha community aapke questions ka answer degi.