Ek adami ko crypto ghotaale ke liye giraphtaar kiya gaya. (MORRIS COIN SCHEME)

Distric police ne ek cryptocurrency ke sanchalan ke jurm me south indian rajya ke kerala ke malappuram Distric se ek 36 saal ke vyakti ko girftaar kiya hai.

Nishaad par Distric police pramukhya U. Abdul Kareem ke dwara prurshkaar aur dhan parishodhan scheme adhiniyam ke tahet aarop lagaye gaye hain.

Police nirikshak P. Vishnu ke dekh rekh me ek team ne nishaad ke ghar se kafi documents ko zabt kiya aur aarop lagaya ki usne bharat ke hazaaron logo ko hazaaron rupaye ka choona lagaya hai.

Nishaad jo Bengaluru me startup Long Rich Technology ke managing director bhi hai, Ne kathit roop se niveshko  ko cryptocurrency Morris Coin me invest ka lalach diya.

Police ke anushaar niveshko ko 300 dino ke liye RS-/ 270 ($ 3.60) ki dainik waapsi ka wada kiya gaya tha yadi unhone Morris Coin me RS-/ 15,000 ($200) ki minimum amount deposit kare.

Yozana ne sujhaav diya ki niveshak 300 Days lock-up ke baad Morris Coin ko exchange kar sakenge .Niveshko ko scheme me dhan jama karne ke liye adhik logo ko lane ke liye  kathit taur par profit ka wadaa liya gaya tha.

Police ne kaha ki Morris Coin kisi bhi exchange me listed nahi tha jis se coin ka exchange impossible tha unhone yah bhi dava kiya ki company ke pass koi bhi registered office nahi hai.

Yha tak ki Morris Coin ICO website par team ke members or developers ki koi bhi jaankari nahi hai, aur na hi yah iss bare me koi jaankari deta hai ki pariyozana kya hai.

Police ne Morris Coin me niveshkon tak pahuchane ke liye bayaan darz karne aur mamle ki jaanch karne ki scheme banai hai.

long rich technologies aur morris coin tak pahuchane ki kosis ki, lekin tatkaal pratikriya nahi mili.